Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics / Video of Song : Tum Akele To Kabhi Bagh Mein Jaya Na Karo
Tum akele to kabhi baagh me jaaya na karo
Tum akele to kabhi baagh me jaaya na karo
aaj kal phool bhi dilwaale huaa karte hai
koyi kadmo se lipat baitha to phir
to bhir kyaa hogaa
to phir kyaa hoga
Tum akele to kabhi baagh me jaaya na karo
aaj kal kaliyaan badi shokh hua kartin hain
koyi shokhi pe utar aayi to phir
to phir kyaa hoga
to phir kyaa hoga
Tum akele to kabhi baagh me jaaya na karo
Tum kabhi zulf ko chehre pe giraayaa na karo
Tum kabhi zulf ko chehre pe giraayaa na karo
baaz dil waale bhi kamzor hua karte hain
koyi naagin jo samjh baitha to phir
to phir kyaa hoga
to phir kyaa hoga
mehfil e husn ki chilman ko uthaayaa na karo
mehfil e husn ki chilman ko uthaayaa na karo
bijliyaan kaali ghataaon mein chhupi hoti hain
koyi chupke se chamak jaaye to phir
to phir kyaa hogaa
to phir kyaa hogaa
tum akele to kabhi baagh me jaaya na karo
Tum kabhi aankh me kaajal bhi lagaayaa na karo
Tum kabhi aankh me kaajal bhi lagaayaa na karo
inhin aankhon ke jareechon me to ham baste hain
saath kaajal ke jo bah nikle to phir
to phir kyaa hogaa
to phir kyaa hogaa
haay hoy
husn waalon ke muqaabil kabhi aaya na karo
husn waalon ke muqaabil kabhi aaya na karo
sharbati aankhon ke doron me nashaa hota hai
bin piye hi jo bahak jaao to phir
to phir kyaa hoga
to phir kyaa hogaa
tum akele to kabhi baagh me jaya na karo
Top user comments for lyrics of song "Tum Akele To Kabhi Bagh Mein Jaya Na Karo"
guru4us2008 on Sunday, August 16, 2009 love and admire this old song.
thanks
sam7748 on Friday, July 30, 2010 @cus62
Mohammed Rafi and Asha Bhonsle
chwaqas on Monday, March 08, 2010 super hit song, top class performance
swad aa geya ji, boht wadhiya
cus62 on Thursday, July 08, 2010 Who r the singers. Amazing lyrics and an all time great song.
reva12 on Sunday, August 14, 2011 You cut off the song in the middle. Please repost the full clip.
Thanks.
rameshthakrar on Thursday, July 28, 2011 One of Usha Khanna's finest compositions