(shaam-e-firaaq abb na puchh, aayi aur aake tal gayi
dil tha ke phir behal gaya, jaa thi ki phir sambhal gayi) - (2)
shaam-e-firaaq abb na puchh
kajme khayaal mein tere husn ki shamma jal gayi - (2)
dard ka chaand bujh gaya, hijrr ki raat dhal gayi
shaam-e-firaaq abb na puchh
jab tujhe yaad kar liya, subaho mehak mehak uthi - (2)
jab tera ghum jala liya, raat machal machal gayi
shaam-e-firaaq abb na puchh, aayi aur aake tal gayi
aakhir-e-shab ke hamsafar faiz na jaane kya huye - (2)
reh gayi kis jagah saba, subaho ke ghar nikal gayi
shaam-e-firaaq abb na puchh, aayi aur aake tal gayi
dil tha ke phir behal gaya, (jaa thi ki phir sambhal gayi -3)